|
|
---|
Monday, November 15, 2010
Dunia Ki Yeh Reet Purani Hai
Admi Dunia Mein Akela Aata Hai
Dunia Ki Bheerh Mein Akela Hi Reh Jata Hai
Aur Dunia Se Akela Hi Chala Jata Hai
Jesay Gulshan May Koi Phool Khilta Hai
Andhion ki Atay Hi Shakh Se Toot Parta Ta Hai
Phir Pairo Talay kuchalta Hai, Rondta Hai, Masalta Hai
Aur Andhion Ki Jatay Hi Baharon Ka Mosam Ro Parta Hai
Aur Yunhi Roo Roo Ker Fariyad Kerta Hai
Ashkoo Ko Seene Mein Piroota Hai
Her Laakt-e-Jigar Khoon Se Holi Rangta Hai
Phir Mulk, Mulk Qayamet Ka Samah Hota Hai
Aur Gulshan, Gulshan, Gul Jalta Rehta Hai
Somere dosto Rab-ul-Kareem dunia mein apnay pyaro say qadam, qadam perImtihan Leta hai lekin ham sab hi ko chaiye ki hum apna emaan hameshamazboot rakhein taki Allah Pak hum per apni azmaish asaan kerdein isDunia mein aur Akhrat mein hamein kabhi tanha na chorein kyun ki duniamein zulm hamesha se hi kaim hai, per zulm kerne wala kabhi kaim nahinrehta, ek na ek din to usay apnay buoy huay ka katna parta hai..
Hamein apnay naik amalo se Khuda ko Raazi rakhna chaiye aur sath hisath Rab-ul-Kareem se Amun ki Dua mangni chaiye, taaki Rab-ul-Kareemhamein apnay Hifz-o-Amaan mein rakhein aur in insaniyat ki dushmano sehamein bacha lein Ameen Sum Ameen.
Labels: Uncategorized, Urdu Articles